Aaj teri cheenkh koi nahin sunega, Uska kaam hai maze lena woh bas maze lega

| Friday, October 31, 2008


kya maanga tha tujhse,
aur kya de raha hai.
jaisa chaaha tha maine, kya wo ho raha hai.
sawaalon mein bunta chala jaa raha hoon.
sochta hoon zyaada, ye kya ho raha hai.

wo dega kya ab bhi, jo maangonga usse.
ya sab Likh chuka hai, aur maze le raha hai.

kya main uska likha kabhi badal paonga.
ya khushi se ab bhi use kehta jaonga.
ki kar de murad, ek baar to poori.
jo likha hai review kar, uspe nazar daal thodi.
kya jo ho raha hai, sahi ho raha hai
ya tu sab likh chuka hai, ab bas maze le raha hai.

tu jaane kya hua hai, kya hoga mere aage peeche.
fir tujhse mere maangne ki wajah aaj kya hai.
kyon maangu, kyon jodu mein haath apne.
jab mera kya hoga tu confirm kar chuka hai

kya meri awaaz kuch badal bhi sakegi.
kya judey haath dekhkar teri kalam fir chalegi.
mein nahi jaanta kya hona hai mera.
par tu jaankar bhi, saala maze le raha hai.

sab seedha chalkar bhi tedha ho jaata hai.
tera haath bhi na jaane kab saath chodh jaata hai.
jo palatkar dekhoon to love life dikhe khaali.
aur saamne dekhoon, to yaad aaein school waali.
peeche to jaa sakte nahin, aage bahut nikal gaye.
par aage bhi chaloon main, to kya tu nazar rakh raha hai.

suna tha dil se maango to sab kuch milega.
haath jodoonga to kya tu likha badlega.
jo tune likha hai, kabhi galat bhi hua hai?
ya likhne ke baad hamesha hansta raha hai.

maanoon ya na maanoon, kabhi kabhi sochta hoon.
par kisi par to mein ab yakeen kar chuka hoon.
wo yakeen tu hai, ya mein khud ban gaya hoon.
par tere likhe ka deewana ho chala hoon.
ab tu likh chuka hai, kirdar mein bana hoon
par kahani ke panne kya sahi padh raha hoon?

kya koi kahin mujh par hans raha hai.
Ya kaun hai kirdar, us baat par ro raha hai.
kahani ke panne ab kitne hain baanki.
ye mujhko nahin sirf tujhko pata hai.

tere kirdaar nibha ke main ab thak gaya hoon
haalat hui aisi, dekh ab main khud likh raha hoon

tu sab likh chuka hai, ab sirf maze le raha hai.

Kaisi Zindagi

| Wednesday, October 29, 2008
Kaale Badal dekhkar.
kaal ke daas ho gae.
Kiran ki aas chooti.
to andhere ke paas ho gae.
musibaton se band kar li aankhein.
fir jisne haath pakda,
usi ke hi khaas ho gae.

Jee to rahein hein.
Par Jeene ki takat kahan hai.
Apni mehfil bhi wahin saje.
Jahan baitha saara jahan hai.
Dekh kar sabko.
Hum bhi muskura lete hein.
Kabhi aine mein dekhkar.
Khud se batiya lete hein.

Ped se utar gaein.
Bheja ghonsle mein hi chod aae.
Do Chaaron ke beech mein.
Apne pentre bhi aajmaie.
Jab kuch na ho saka.
To hansi ke saath ho gae.
Khud par hansna seek liya.
Ab hum bhi kuch khaas ho gae.

Apne liye gumnaam hein.
Auro ko lie hum aam hein.
Gareebon ki hum aas hein.
Badshah hum betaaj hein.

Ab aise hi jeena seekh liya hai.
Aise jie ki kuch ho na sakaa.
Itne natak kar lie hein.
Ki mann bhi apna ,
raha nahi sagaa.